5 min

Guzre hue pal ( Fleeting Thoughts‪)‬ Life In Poetry

    • Philosophy

Aksar kuch aisi cheezein hoti hai, jo hume 'guzre hue pal' ke bahut qareeb le jaati hai.

Jaise achaanak koi pehle ka 'gaana' sun leta hu.
To usi time ko feel karne lagta hu, jab woh gaana repeat pe suna karta tha.

Kabhi subah ki dhoop me bahar nikalta hu to 'school' ka wahi time yaad ata hai.
Jab lunch me apni class se nikal kar ground me baith jaate the.

Aaj bhi jab 'Bhai' se kabhi ladai hoti hai.
To aaj aur pehle ki ladai me bass 'Topic' bade ho gaye hai.
Hum waise hi chhote hai.

Halki si thand badh jaati hai aur din jaldi chipne lagte hai,
To khud hi wo Diwali ka time yaad aane lagta hai.

Aur kabhi kabhi Mummy bilkul usi tarah daantati hai,
Jis tarah exam aane wale hote the aur me bolta tha 'Aj tution ki chutti kara do'.

Jab bike pe nikalta hu.
To Papa wahi puraani jacket de dete hai, jise pehan kar doston ke sath bike pe bhot chakkar lagae the.

Ab Holi ke gubbaare, Diwali ke patakhe aur Patang - Manjha,
Jab bhi kahi dikhta hai.
To haatho se rang ka na chootna, pataakhe se haath jalana aur ungliyon ka katna sab bilkul waise hi saath hai.

Ghar ke kisi kaam se bahar jaata hu aur unhi sadakon se nikalta hu.
Jaha aaj bhi sab same hi hai,

Sham ko Mandir ki aarti.
Ghaat ke pas walk karte log.
Line se khaane ki theliya.
Faatak pe laga jam.
Aur kahi khaali road pe koi driving seekhta hua.

'Guzre hue pal' ka sab humaare sath hi hai agar usko aise 'feel' karte rahe to.....