2 min

Kya tum wahi ho jiski kahaniaan meri maa mujhe bachpan me sunaya karti thi..‪.‬ Vishal Rohila - the_bearded_writer

    • Performing Arts

Ek baar firse man me aaya puchne ka tumse, to socha puch lu k...

Kya tum wahi ho, jiski kahaniaan meri maa mujhe bachpan me sunaya karti thi...

Kya tum wahi ho jiski kahaniaan sunkar mujhe sukoon bhari neend aajaya karti thi...

Jiski kahaniyo me phool, pattiaan, baadal, aakash sab hua karte thy,
Aur jiski kahaniaan sunkar meri umra k sab bacche khush hokar so jaaya karte thy...

Kya tum wahi ho, jise meri maa bhi ooas ki pehli boond sa bataya karti thi,
Wesi hi komal, shaant, sundar,
maano soorajmukhi ke phoolo par titli itlaya karti thi...

Teri kahaniaan sunaate hue meri maa ke mu par bhi mene muskaan dekhi hai,
Shayad tu wahi hai jiski tasveer mene khwabo me matmaili si dekhi hai...

Sach sach batao...

Kya tum wahi ho jiski kahaniaan meri maa mujhe bachpan me sunaya karti thi...

Kyunki agar tum wo nahi to kyu itni jaani pehchaani si lagti ho,
Agar tum wo nahi to meri soyi aankhon me sirf tum hi kyu jagti ho,
Agar tum wo nahi to kyu mera har sapna sirf tumhare saath hi saccha lagta hai,
Aur agar tum wo nahi to tumhare alawa kyu aur koi nahi, acha lagta hai...

Batao na, kya tum wahi ho jiski kahaniaan meri maa mujhe bachpan me sunaya karti thi,
Mere khayal me haan tum wahi ho jiski kahaniaan sunkar mujhe sukoon bhari neend aajaya karti thi...

- Vishal