20 episodes

Short stories and recitation of love, freedom, expression, and honesty

Qissa Mukhtasar Abhay Punjabi

    • Arts
    • 5.0 • 1 Rating

Short stories and recitation of love, freedom, expression, and honesty

    Toh kya hua

    Toh kya hua

    To all the love stories that didnt happen

    • 3 min
    Hujum e giriya - Ali Akbar Natiq - Narrated by - Abhay Punjabi

    Hujum e giriya - Ali Akbar Natiq - Narrated by - Abhay Punjabi

    hameñ bhī ro le hujūm-e-girya ki phir na ā.eñge ġham ke mausam
    hameñ bhī ro le ki ham vahī haiñ
    jo āftāboñ kī bastiyoñ se surāġh laa.e the un saveroñ kā jin ko shabnam ke pahle qatroñ ne ġhusl baḳhshā
    safed rañgoñ se nūr-e-ma.anī nikāl lete the aur chāñdī ujālte the
    shafaq pe Thahre sunahre bādal se zard sone ko Dhālte the
    ḳhunuk havāoñ meñ ḳhushbuoñ ko milā ke un ko uḌāne vaale
    sabā kī partoñ pe sher likh kar adam kī shakleñ banāne vaale
    dimāġh rakhte the lafz o ma.anī kā aur dast-e-hunar ke mālik
    vaqār-e-nūr-e-charāġh ham the
    hameñ bhī ro le hujūm-e-girya
    hameñ bhī ro le ki ham vahī haiñ
    jo tez āñdhī meñ saaf chehroñ ko dekh lete the aur sāñsoñ ko bhāñpte the
    falak-nashīnoñ se guftugūeñ thiiñ aur pariyoñ se khelte the
    karīm logoñ kī sohbatoñ meñ kushāda kū-e-saḳhā ko dekhā
    kabhī na rokā thā ham ko sūraj ke chobdāroñ ne qasr-e-baizā ke dāḳhle se
    vahī to ham haiñ
    vahī to ham haiñ jo luT chuke haiñ hafīz rāhoñ pe luTne vaale
    usī falak kī siyah-zamīñ par jahāñ pe larzāñ haiñ shor-e-nāla se ādiloñ kī sunahrī kaḌiyāñ
    hameñ bhī ro le hujūm-e-girya
    hameñ bhī ro le ki in dinoñ meñ hamārī pushtoñ pe baar hotā hai zaḳhm-e-tāza ke surḳh phūloñ kā aur gardan meñ sard aahan kī kohna laḌiyāñ
    hamārī zid meñ safed nāḳhun qalam banāne meñ dast-e-qātil kā saath dete haiñ aur neze uchhālte haiñ
    havā kī lahroñ ne reg-e-sahrā kī tez dhāroñ se rishte joḌe
    sharīr hāthoñ se kañkaroñ kī siyāh bārish ke rābte haiñ
    hamārī zid meñ hī mulkoñ mulkoñ ke shahryāroñ ne ahd bāñdhe
    yahī ki ham ko dhueñ se bāñdheñ aur ab dhueñ se bañdhe hue haiñ
    so ham pe rone ke nauha karne ke din yahī haiñ hujūm-e-girya
    ki musta.id haiñ hamāre mātam ko gahre sāyoñ kī sard shāmeñ
    ḳhizāñ-rasīda tavīl shāmeñ
    hameñ bhī ro le hujūm-e-girya ki phir na ā.eñge ġham ke mausam

    • 2 min
    Abhi toh main jawan hu - Hafeez Jalandhari - narrated by - Abhay Punjabi

    Abhi toh main jawan hu - Hafeez Jalandhari - narrated by - Abhay Punjabi

    havā bhī ḳhush-gavār hai
    guloñ pe bhī nikhār hai
    (Flowers are bright and fresh)
    tarannum-e-hazār hai
    (Thousand rhymes)
    bahār pur-bahār hai
    (Abundant blooms)
    kahāñ chalā hai sāqiyā (bartender)
    idhar to lauT idhar to aa
    are ye dekhtā hai kyā
    uThā subū subū uThā
    (Pick the goblet)
    subū uThā pyāla(cup) bhar
    pyāla bhar ke de idhar
    chaman kī samt kar nazar
    (Look at Gardens direction)
    samāñ to dekh be-ḳhabar
    vo kaalī kaalī badliyāñ
    ufuq pe ho ga.iiñ ayaañ
    (Horizon is so clear)
    vo ik hujūm-e-mai-kashāñ
    (That Crowd of drinker)
    hai sū-e-mai-kada ravāñ
    (Towards tavern, flowing)
    ye kyā gumāñ hai bad-gumāñ
    (Whats the doubt and suspicion)
    samajh na mujh ko nā-tavāñ (weak)
    ḳhayāl-e-zohd abhī kahāñ
    (Thoughts of pity)
    abhī to maiñ javān huuñ
    ibādatoñ kā zikr hai
    (Prayers are mentioned)
    najāt (salvation) kī bhī fikr hai
    junūn hai savāb(reward of good deeds) kā
    ḳhayāl hai azaab(agony) kā
    magar suno to shaiḳh jī
    ajiib shai(thing) haiñ aap bhī
    bhalā shabāb(youth) o āshiqī
    alag hue bhī haiñ kabhī
    hasīn jalva-rez hoñ
    (Manifestation in glory)
    adā.eñ fitna-ḳhez hoñ
    (Style seditious)
    havā.eñ itr-bez(spreading fragrance) hoñ
    to shauq kyuuñ na tez hoñ
    nigār-hā-e-fitnagar
    (Temptation of the sweetheart)
    koī idhar koī udhar
    ubhārte hoñ aish par
    to kyā kare koī bashar (man)
    chalo jī qissa-muḳhtasar (long story short)
    tumhārā nuqta-e-nazar (point of view)
    durust hai to ho magar
    abhī to maiñ javān huuñ
    ye gasht kohsār kī
    (Patrolling of mountains)
    ye sair jū-e-bār(dividing stream of liquid)
    ye bulbuloñ ke chahchahe
    ye gul-ruḳhoñ ke qahqahe (beautiful exclusive laughter)
    kisī se mel ho gayā
    to rañj (sorrow) o fikr kho gayā
    kabhī jo baḳht (luck) so gayā
    ye hañs gayā vo ro gayā
    ye ishq kī kahāniyāñ
    ye ras bharī javāniyāñ
    udhar se mehrbāniyāñ
    idhar se lan-tarāniyāñ (tall tales)
    ye āsmān ye zamīñ
    nazāra-hā-e-dil-nashīñ
    (Beautiful sightings)
    inheñ hayāt-āfrīñ
    (Praiseworthy life)
    bhalā maiñ chhoḌ duuñ yahīñ
    hai maut is qadar qarīñ (close)
    mujhe na aa.egā yaqīñ
    nahīñ nahīñ abhī nahīñ
    abhī to maiñ javān huuñ
    na ġham kushūd(openness) o bast(close-knit) kā
    buland kā na past kā
    (Neither high or low)
    na buud kā na hast kā
    (Neither past nor existing)
    na vāda-e-alast kā
    (Promise of the day of creation)
    ummīd aur yaas(despair) gum
    havās gum qayās gum
    (The senses and presumptions are lost)
    nazar se aas paas gum
    hama-bajuz gilās gum
    (Everything but the glass is lost)
    na mai(liquor) meñ kuchh kamī rahe
    qadah se hamdamī rahe
    (Bowl keeps friendships alive)
    nashist (gathering) ye jamī rahe
    yahī hamā-hamī(bragging boasting) rahe
    vo raag chheḌ mutribā (female singer)
    tarab-fazā, alam-rubā
    (Joyful or sorrowful)
    asar sadā-e-sāz(music of intruments) kā
    jigar meñ aag de lagā
    har ek lab pe ho sadā (voice)
    na haath rok sāqiyā
    pilā.e jā pilā.e jā
    abhī to maiñ javān huuñ

    • 3 min
    Ae Roshniyo ke Sheher - Faiz Ahmed Faiz - Narrated by Abhay Punjabi

    Ae Roshniyo ke Sheher - Faiz Ahmed Faiz - Narrated by Abhay Punjabi

    sabza sabza suukh rahī hai phīkī zard dopahar
    dīvāroñ ko chaaT rahā hai tanhā.ī kā zahr
    duur ufuq tak ghaTtī baḌhtī uThtī rahtī hai
    kohr kī sūrat be-raunaq dardoñ kī gadlī lahr
    bastā hai is kohr ke pīchhe raushniyoñ kā shahr
    ai raushniyoñ ke shahr
    kaun kahe kis samt hai terī raushniyoñ kī raah
    har jānib be-nūr khaḌī hai hijr kī shahr-panāh
    thak kar har sū baiTh rahī hai shauq kī maand sipāh
    aaj mirā dil fikr meñ hai
    ai raushniyoñ ke shahr
    shab-ḳhūñ se muñh pher na jaa.e armānoñ kī rau
    ḳhair ho terī lailāoñ kī un sab se kah do
    aaj kī shab jab diye jalā.eñ ūñchī rakkheñ lau City of Lights
    On each patch of green, from one shade to the next,
    the noon is erasing itself by wiping out all color,
    becoming pale, desolation everywhere,
    the poison of exile painted on the walls.
    In the distance,
    there are terrible sorrows, like tides:
    they draw back, swell, become full, subside.
    They've turned the horizon to mist.
    And behind that mist is the city of lights,
    my city of many lights.
    How will I return to you, my city,
    where is the road to your lights? My hopes
    are in retreat, exhausted by these unlit, broken walls,
    and my heart, their leader, is in terrible doubt.
    But let all be well, my city, if under
    cover of darkness, in a final attack,
    my heart leads its reserves of longings
    and storms you tonight. Just tell all your lovers
    to turn the wicks of their lamps high
    so that I may find you, Oh city,
    my city of many lights.

    • 1 min
    Rang hai dil ka mere- Faiz Ahmed Faiz - Narrated by - Abhay Punjabi

    Rang hai dil ka mere- Faiz Ahmed Faiz - Narrated by - Abhay Punjabi

    tum na aa.e the to har ik chiiz vahī thī ki jo hai
    āsmāñ hadd-e-nazar rāhguzar rāhguzar (path) shīsha-e-mai shīsha-e-mai (glass of wine)
    aur ab shīsha-e-mai rāhguzar rañg-e-falak
    rañg hai dil kā mire ḳhūn-e-jigar (bloody heart) hone tak
    champa.ī(purple)rañg kabhī rāhat-e-dīdār(pleasant/comfort) kā rañg
    surma.ī(dark grey) rañg ki hai sā.at-e-bezār (disturbing/disgust) kā rañg
    zard (pale) pattoñ kā ḳhas-o-ḳhār(fragrance of dried leaves) kā rañg
    surḳh (red) phūloñ kā dahakte hue gulzār kā rañg
    zahr kā rañg lahū rañg shab-e-tār(dark night) kā rañg
    āsmāñ rāhguzar shīsha-e-mai
    koī bhīgā huā dāman koī dukhtī huī rag
    koī har lahza badaltā huā ā.īna hai
    ab jo aa.e ho to Thahro ki koī rañg koī rut koī shai
    ek jagah par Thahre
    phir se ik baar har ik chiiz vahī ho ki jo hai
    āsmāñ hadd-e-nazar rāhguzar rāhguzar shīsha-e-mai shīsha-e-mai

    • 1 min
    Baat phoolon ki kia karte the

    Baat phoolon ki kia karte the

    Baat phoolon ki suna karte the
    Hum kabhi sheer kaha karte the
    Mashalein le ke tumhare gham ki
    Hum andheron mein chala karte the
    Ab kaha aisi tabiyat vale
    Chot kha kar jo dua karte the
    Tark-e-ehsaas-e-mohabbat mushkil
    Haan magar ahl-e-wafa karte the
    Bikhri bikhri zulfon wale
    Qafilein rok liya karte the
    Aaj gulshan mein shagoofe saaghar
    Shikwah baad e saba karte the

    • 45 sec

Customer Reviews

5.0 out of 5
1 Rating

1 Rating

Top Podcasts In Arts

Fresh Air
NPR
The Moth
The Moth
99% Invisible
Roman Mars
Snap Judgment Presents: Spooked
Snap Judgment
Fantasy Fangirls
Fantasy Fangirls
The Magnus Archives
Rusty Quill