4 episodes

This podcast consists of my poems which are on realities of life and corporate sector

Reality Poems By Malvika Mathur malvika mathur

    • Music

This podcast consists of my poems which are on realities of life and corporate sector

    Desh Jal Raha Hai

    Desh Jal Raha Hai

    Apni baat kehne ka bas yahi ek tarika reh Gaya .

    Protests, firing, yhi ab Zindagi ka hissa ban gya

    Wo desh k dushmano se ladne ki baat kiya krte hai,

    Apno se hi ladaai Mai na jaane kitna khoon beh gaya



    Hamara desh jal Raha hai aur jal Rahe hai ,hum,

    Hindu-muslim ki is ladai Mai mar Rahe hai ,hum..

    Dar lagne laga hai ab apne hi desh k logo se kyu,

    Akhir kab Tak, ladega koi ,aur marte rahenge hum..



    Rapists zinda hai, aur maasum Bali Chad rahe hai,

    Phir bhi Laws and order refugees k liye ban Rahe hai

    Fast track courts na jaane kyu dheere chl rahe hai,

    Na jaane kitne rape case files Mai yuhi band pade hai



    Aaawaz hi uthani hai to haq se uthao

    Par kisi ko maarke apni insaaniyat na gavaao,

    Dusshera hi manana hai to har din manaao,

    Is Kalyug k har ravan ko kyu na roj zinda jalaao…

    • 1 min
    Aisa Kyu Hota Hai Yaar...

    Aisa Kyu Hota Hai Yaar...

    Aisa kyu hota hai Yaar, 

    Candidate “will join you from tom” keh k kahi aur join kar jata hai,

    HR “will come back to you” Keh k kahi aur comeback kar jata hai.



    Manager naam ki chidiya bhi azeeb hoti hai,

    Khud ko employees ka ceo samajhne lagti hai,

    Subah time se aake, team ko orders de ke,

    Sabke kaam ka credit khud hi leti firti hai…



    CEO bhi kuch kam chaalu nahi hota,

    Ek boond salary se , kaam karwata samundar jaisa

    Benfits k naam p deta firta motichur laddu,

    chaaplusi krne waalo ko betha deta sar pe aisa…



    In sab cheezo mai piste bichare employees hai,

    Karte dinbhar hardwork, phir bhi khaate gaali hai

    Samjhne wale ek baat samjho,

    Hum labors nahi , companies ki shaan hai,

    Business CEO se nahi, chalta hamare kaam se hai…

    • 1 min
    HR KO ACCHE CANDIDATES CHAHIYE

    HR KO ACCHE CANDIDATES CHAHIYE

    This poem is all about the life cycle of an employee in a company

    • 1 min
    International Men's Day

    International Men's Day

    #mardkobhidardhotahai

    Bachpan se sikha hai , tum mard ho rona mat,

    Duniya k saamne apne aansu dikhana mat,,

    Koi bhi musibat aaye , tum majboot rehna,

    Tum mard ho, har gam ko tumhe hai sehna



    Haan mard hu to kya hua, dil ka size to utna hi hai

    Rona mjhe bhi aata hai, dukh hota to utna hi hai,

    Mai agar na royu to log pathar dil samjhte hai,

    Aur agar aansu nikalu to kamjor samjhte hai



    Har mard bura nahi hota, shoshan uska bhi hota hai,

    Har mard majboot nahi hota, dil uska bhi rota hai

    Aurato ki ijjat ki baat to har koi karta hai,

    Par mard ka bhi rape hota hai, kya koi aawaz uthata hai?\



    Body banana ya perfume lagane se koi mard nahi banta,

    Kamjor  p chillane se koi majbut nahi banta,

    Mard wo hai , jiske saamne aura tsar uthake chal sake,

    Kadam se kadam milake uske saath aage bad sake



    Rote, isliye nahi ki dil nahi hai, balki isliye kyunki tum toot jaoge

    Har mushkil, har bure waqt mai saath khade hamein paaoge

    Hazaro khwaishe seene mai dabaye apno ko ahmiyat dete hai hum,

    boyfriend, pati ya ho kisi k pita, khud se pehle tumhe rakhte hai hum



    galat na samjhna hamein, kyunki hum dil ki baat bahaar nhi laate,

    bachpan se yahi sikhaa hai, tum mard ho , emotional nahi ho sakte

    • 2 min

Top Podcasts In Music

The Joe Budden Podcast
The Joe Budden Network
The Story of Classical
Apple Music
Ongoing History of New Music
Curiouscast
DISGRACELAND
Double Elvis Productions
STROMBO
Apple Music
Song Exploder
Hrishikesh Hirway