123 episodes

“Pehla sukh Nirogi Kaya” Ye apne bahut bar suna hoga. 'WHO' kehta hai ki healthy hona sirf disease ki absence nahi hai. Overall health ka meaning hai apka Mentally, Physically and emotionally better feel karna. Issme aap ki help karne ke liye Health Shots la raha "Healthy Zindagi Podcast season 2". Iske har episode me hum har baar ek Health Expert se baat karenge. Jo life ko unhealthy banane wale karno, Disease ke symptoms aur unke treatment ke bare me batayenge. Apni Health ki weekly dose ke liye tune in now!

Healthy Zindagi HT Smartcast

    • Health & Fitness

    Know the benefits and process of Egg Freezing

    Know the benefits and process of Egg Freezing

    20 se 30 year ki age ko baby plan karne ke liye sabse healthy mana jata hai. Magar isi umra me females' career bana rahi hoti hain. Agar aap bhi der se baby plan karna chahti hai toh egg freezing apke liye helpful ho sakti hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me senior fertility expert Dr Rita Bakshi bata rahi hai fertility aur egg freezing ke bare me sab kuchh. Is episode ki host hain Yogita Yadav.

    • 33 min
    Know everything about Autism to support autistic children

    Know everything about Autism to support autistic children

    April is the autism awareness month. Autism ya Autism spectrum disorder ek esi condition hai jisme bachcha apne aap me hi gum rahta hai. Ese bachcho ko communication aur social sharing me difficulties hoti hain. Autism ke cause, symptoms aur supportive therapy kya ho sakti hain, janne ke liye tune in karen healthy Zindagi podcast ka ye episode with Senior psychologist aur behaviour therapy expert Dr Sonam kothari se bat kar rahi hain host Yogita Yadav.

    • 34 min
    On world health day let's discuss women's health

    On world health day let's discuss women's health

    Vaginal wash, vaginal perfume and vaginal lightening and tightening cream tak Sara bazaar women health ki fikra me hai. Par kya wastav me ye women health ka kuchh bhala kar rahe hain? Ya reality Kuchh aur hi hai? Healthy Zindagi podcast me, Senior gynaecologist & the founder of Maitri Women Dr Anjali Kumar de rahi hain women health se jude kuch zaruri sawalo ke jawab. Unse bat kar rahi hain host Yogita Yadav.

    • 31 min
    Homeopathy - lets bust some myths and know more about it

    Homeopathy - lets bust some myths and know more about it

    Homeopathy ek age-old alternative medicinal treatment process hai. Jisme healthy ko natural ingredients ke sath heal karne ki koshish ki jati hai. Duniya bhar me log iss holistic treatment par trust kar rahe hain. Iske bawajood Homeopathy ke bare me kayi myths prachalit hain. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me In myths ko bust kar rahe hain Homeopathic expert Dr Mukesh Batra. Iss programme ko host kar rahi hain Yogita Yadav.

    • 24 min
    Know how to deal with mental health problems.

    Know how to deal with mental health problems.

    Hum sabhi har roz kisi na kisi tarah ke stress aur unpleasant situation ka smana karte hain. Kabhi kabhi bahut gussa bhi aata hai. Par jab yahi stress aur gussa anxiety aur isolation ka karan banne lagta hai, tab hame sawdhan ho jana chahiye. Stress, anxiety aur depression jaise mental health problems duniya bhar me social aur economic growth me barrier ban rahi hain. Inse kaise overcome hona hai, healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hai senior psychologist Dr Neerja Agarwal. Iss program ko host kar rahi hain Yogita Yadav

    • 36 min
    Understand the unidentified risk of Autoimmune diseases

    Understand the unidentified risk of Autoimmune diseases

    Autoimmune disease esa agyat khatra hai, jin se bach pana bahut mushkil hai. Ye apki muscles, bones, lungs, heart, brain aur skin ko bhi prabhavit kar sakti hain. Inke causes aur symptoms ke bare me jankar inse better way me deal kiya ja sakta hai. Kya hain autoimmune diseases ke risk aur kya ho sakta hai inse deal karne ka upaye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hain senior Rheumatologist Dr Kiran Seth. Unke sath hain host Yogita Yadav.

    • 30 min

Top Podcasts In Health & Fitness

Huberman Lab
Scicomm Media
On Purpose with Jay Shetty
iHeartPodcasts
Feel Better, Live More with Dr Rangan Chatterjee
Dr Rangan Chatterjee: GP & Author
The Psychology of your 20s
iHeartPodcasts
The Habit Coach with Ashdin Doctor
IVM Podcasts
Ten Percent Happier with Dan Harris
Ten Percent Happier