Aliz shayari ali thara
-
- Kunst
Shayari
-
Dosti
Duriyon se koi farak nahi padta hai...Baat toh dilon ke nazdikiyon se hoti hai...Dosti toh kuch app jaison se hai.. warna mulakat toh jane kitno se hoti hai...
-
Khuda se ladai
Khuda ne thokaron se itna nawaza ki khuddar ban gaya...
Teri yaad itni aai ki mai teri yaadon mai Diwana ban gaya..
Khud hi khud khuda se lad baitha..
Khuda se bas tuje mang baitha -
Aadhuri Batain
Jawani mai kahi gazale adhuri chut jati hai
Kai khwaishe toh dil hi dil mai tuth jati hai
Judai mai toh aksar tumse mukamal batain hoti hai
Mulakaton mai sari batain adhuri chhoot jati hai -
Bewafa Hum Bhi Nahi
Suna hai wo raaton ko jagta hai
Us se khena sote hum bhi nahi
Suna hai wo chup chup ke rota hai
Us se khena haste hum bhi nahi
Suna hai wo muje bahut yaad karta hai
Us se khena bhule hum bhi nahi
Suna hai wo wafa ka dawa karta hai
Us se khena bewafa hum bhi nahi -
Safar
Khud ko pane ka safar.. Na jane kin raston par bhatak raha tha mai
Manzil intezar mai thi meri aur safar kar raha tha mai
Heere ko chod patharon ke shehar mai kho gaya
Apne khwabon ke katl ka gunhegar khud ho gaya
Par ab bas... Firse jina hai
Khwabon ko hasil firse karna hai
Manzil jo chuti piche use firse pana hai
Patharon ke shere mai khud ko heere ki tarah tarashna hai -