7 afleveringen

Recitations of poetry from my Instagram page. All content posted is original. https://instagram.com/midnight_rant?igshid=iugdi44fjrm4

Midnight Rant Syed Ashhad

    • Kunst

Recitations of poetry from my Instagram page. All content posted is original. https://instagram.com/midnight_rant?igshid=iugdi44fjrm4

    Mai.n

    Mai.n

    A supposedly improved attempt at writing and reciting a Ghazal. Attempt is the driving word here. Duniya ke liye sahib-e-shakhsiyat hoon main
    Khud ke liye bas tumhara intezar hoon main

    Mere qareeb ab koi aashna, koi baam-o-deewar nahi
    Apni barbadiyon ka khud hi sipah-salaar hoon main

    Mashvira ye hai ki jitni jaldi ho sake, qula kar loon main
    Khud apne takhayuul se aazad hone ko beqarar hoon main

    Yun to na hua ki itna chup raha hoon kabhi main
    Haan par ab sunne walo'n se zara hoshiyar hoon main

    Koi dekhe to zinda-dili ka aabshaar hoon main
    Koi haal poochhe to naala-e-dil-fighar hoon main

    Teri furqat mein jo raatein bita di hain maine,
    Teri aagosh mein ho kar bhi unka talabgar hoon main

    Maine kab ke tark kar diye the ishq ke saare muqaam
    Haan par is pur-ummeed dil ke aage be-ikhtiyar hoon main

    Bohat gehri jadd'ein hain meri, mujhe chhedne ka phir soch lo
    Tum agar fusun-o-khiza'n ho to kaif-o-bahar hoon main

    Bichhadte waqt usne kaha tha Ishq jaavedani hai
    Uska maan rakhne ke liye uske baad ka sab bhoolne ko tayyar hoon main

    • 1 min.
    Babbbar

    Babbbar

    This is a very short story about a cat that a friend of mine had and a funny incident that happened with him

    • 5 min.
    Hum log 🔥

    Hum log 🔥

    Raat kaali thi to raat bhar jaagte rahe hum
    Diye apne khoon se jalate rahe hum
    Dil-e-afsurda ko sanwaarte rahe hum
    Akhuvat ke, ek-dili ke geet gaate rahe hum

    Unke har chot ko sehlaate rahe hum
    Marham apne wajood ka lagate rahe hum
    Aansu pochhte, cheekho'n ko behlate rahe hum
    Sadak par bikhre hausle uthaate rahe hum

    Mumkin tha behekna to hoshiyar rahe hum
    Maathe par haunsle taake tayyar rahe hum
    Munafiq na ho jaayein so bedaar rahe hum
    Na-munsib tha jhukna so yun he bezaar rahe hum


    Apne tooti phooti khushiyon mein shaad rahenge hum
    afsurdagi mein bhi be-dar-o-baam aabad rahenge hum
    Sitam-gar ki bediyo mein bhi tab-e-aazad rahenge hum
    Tumhari humari zindagi to faani hai, taareekh mein be-miad rahenge hum

    • 1 min.
    Chai aur tum ❤️

    Chai aur tum ❤️

    Bohat din hue tumhare saath chai nahi pi
    Baith ke baatein nahi ki, ithlaaye bhi nahi.
    Tum aur tumhari elaichi jaisi taza-tareen baatein
    Main aur Mera adrak se meethe talkh tanz

    Mein har baar tumhe dekhta hoon
    Aur ram jaata hoon tumhari adakari mein
    Kaise aur kab kis baat ko josh ke ubaal se bolna hai
    Aur kaise kab bas halke halke muskura kar khaulana

    Mera kabhi chai na peene ka guroor bhi to
    Tumhari sohbat ki talab ne he toda tha
    Ab har dafa chai ki chuski le kar hansi aati hai
    Shayad mujhe tumse pyaar tabhi ho gaya tha

    Khair ab aao mil bhi lo,
    chai peeni hai tumhare saath
    Tum har baar ki tarah apne saare qisse sunana
    Main ghoonth dar ghoonth Aankho se ye nazm kahunga

    • 1 min.
    Safar

    Safar

    Meri aankho ki veeraniya'n na dekh, mujhe bezaar na jaan
    Mere maathe ki lakeeron ko dekh, mere safar ko pehchaan

    • 26 sec.
    Roshna

    Roshna

    maine tumhari kayi alhad angdaiyo'n ko
    apne khwabo'n ke saahil par umadte dekha hai

    Meri siyah zindagi ki raushna maine tumhe,
    Chaandni raaton mein jugnu'on se ladte dekha hai

    Bohat mamooli ada hai palk'on ka uthana aur gir jaana
    Is saadgi mein bhi maine dono jahaano'n ko bante bigadte dekha hai

    • 38 sec.

Top-podcasts in Kunst

Etenstijd!
Yvette van Boven en Teun van de Keuken
Met Groenteman in de kast
de Volkskrant
Boeken FM
Das Mag & De Groene Amsterdammer
RUBEN TIJL RUBEN - DÉ PODCAST
RUBEN TIJL RUBEN/ Tonny Media
Ervaring voor Beginners
Comedytrain
Man met de microfoon
Chris Bajema