Muhammad Shaikh v/s Murabi Ansar Raza Ahmedi

IIPC Podcast » Podcast Feed

Duniya ke har muashray mein mukhtalif nazriaat ke haamil log ya giroh mojood hotay hain jin ki koshish yeh hoti hai ke jis nazriye aur aqeday par woh imaan rakhtay hain ussay sahih saabit karte hue doosron ko qaail kya ja sakay. is silsilay ko jari rakhnay ke liye duniya ke sahib ilm logon ne kuch usoolon par mabni aik tareeqa waza kya sun-hwa hai jisay manazra ya mobahisa kehte hain .
is manazra mein shurka do mukhalif fareeqon se aik mauzo par apne apne dalail ke sath guftagu karte hain aur apne un nazriaat aur khayalat ki taied ke liye misalein aur shawahid bhi istemaal karte hain, isi riwayat ko barqarar rakhtay hue aik aur manazra paish khidmat hai jo Muhammad Shaikh aur Ansar Raza Ahmedi qadyani ke darmiyan 2019 mein Toronto canada mein sun-hwa, yeh manazra bunyadi tor par quran ki ayaat par mabni hai jis ka mauzo yeh hai ke kis terhan Allah ki aik hi kitaab har zamane mein insanon ki hadaayat ke liye mojood hai aur kis terhan nabuwat har zamane mein jari rehti hai.
Muhammad Shaikh ne un dono mozuaat ko Allah ki ayaat hi se dalail day kar saabit kya hai. ab yeh nazreen par munhasir hai ke woh is munazray ko ghhor se dekh kar khud faisla karen ke dono mein se kin ke dalail ziyada mantaqi aur wazni hain, is liye yeh manazra dekhna laazmi hai.

To listen to explicit episodes, sign in.

Stay up to date with this show

Sign in or sign up to follow shows, save episodes and get the latest updates.

Select a country or region

Africa, Middle East, and India

Asia Pacific

Europe

Latin America and the Caribbean

The United States and Canada