8: औरत|Kaifi Azmi|Urdu Nazm|Famous Poetry|Life Of a Poet

Kavya Guftugu Podcast

क़द्र अब तक तेरी तारीख़ ने जानी ही नहीं
तुझ में शोले भी हैं बस अश्क-फ़िशानी ही नहीं

Tere andar aag bhi hai angaare bhi hain bas aansoo nahin hai tere andar.
तू हक़ीक़त भी है दिलचस्प कहानी ही नहीं
तेरी हस्ती भी है इक चीज़ जवानी ही नहीं
अपनी तारीख़ का उनवान बदलना है तुझे
You’ve to change the title of your history
उठ मेरी जान!! मेरे साथ ही चलना है तुझे

Feb 1947 main Hyderabad ke mushaira main Kaifi sahab ne jo nazm padi uska unvaan tha Aurat. Nazm kuch is taranh se thi – uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe. Kadr ab tak teri tareekh ne jaani hi nahin. Yeh sunte hi mushaira main baithi ek ladki ne apni saheliyon se fusfusa ke kaha ki kaisa badtmeez aadmi hai aur shayar hai. Ek aurat ke liye lafz uth keh raha hai. Uthiye nahin keh sakta kya? Is shayar main jara bhi adab nahin hai. Iske saath kaun ladki uthkar jaane ke liye tayaar hogi. Magar kaifi azmi us ladki ke khayalon se anjaan nazm padte rahe. Uth meri jaan mere saath hi chalna hai tujhe. Kadr ab tak teri tareekh ne jaani hi nahin, tujh mein shole bhii hain bas ashkfishaanii hii nahiin
tu haqiiqat bhii hai dilchasp kahaanii hii nahiin
terii hastii bhii hai ik chiiz javaanii hii nahiin
apnii tarrikh kaa unvaan badalnaa hai tujhe
uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe

Vo ladki jo nazm ke daruan kaifi azmi ka mazaak uda rahi thi, is nazm ke khatm hote hote apni zindagi ka sabse ahem faisla le chuki thi. Na jaane kaifi ki shayri ne us ladki ke dil ke kin taaron ko ched diya ki usne faisla le liya ki vo apni sagai todkar shaadi karegi to sirf kaifi azmi se. Gharvaalon ne laakh samjhaya ki sirf shayari se ghar nahin chalta, yeh beghar hai tujhe kya aasra dega. Sainkdon logon se hazaaron baatain sunane ke bavjood us ladki ka faisla atal raha. Aur usne kuch hi mahinon ke andar kaifi azmi se shaadi kar li. Yeh ladki thi Shaukat Azmi jinhone kaifi azmi ki nazm sukar hi apne Jeevan ka itna bada faisla le liya. Jin lavzon ko sunkar, jin bhaavon ko dekhkar dil ke taar chid gaye the, chaliye aapko sunata hun vo nazm Aurat.

#hindikavita #urdushayari #kavita #shayari #nazm #kaifi #kaifiazmi

Follow the KavyaGuftugu on

Twitter: Kavya Guftugu (@KGuftugu) / 

Facebook: https://www.facebook.com/Gaurav-Sachdeva-Storyteller-182761851445

Instagram: https://www.instagram.com/kavyaguftugu/

email: kavyaguftugu@gmail.com

Spotify - https://open.spotify.com/show/3CSR0aPkPswfSV0b7LKjE4

Google Podcasts - https://www.google.com/podcasts?feed=aHR0cHM6Ly9hbmNob3IuZm0vcy81YWU4OWQ3NC9wb2RjYXN0L3Jzcw==

Anchor - https://anchor.fm/kavya-guftugu

Breaker - https://www.breaker.audio/kavya-guftugu-1

Pocket Casts - https://pca.st/jembxj9b

Radio Public - https://radiopublic.com/kavya-guftugu-G342zM

To listen to explicit episodes, sign in.

Stay up to date with this show

Sign in or sign up to follow shows, save episodes and get the latest updates.

Select a country or region

Africa, Middle East, and India

Asia Pacific

Europe

Latin America and the Caribbean

The United States and Canada