129 episodes

“Pehla sukh Nirogi Kaya” Ye apne bahut bar suna hoga. 'WHO' kehta hai ki healthy hona sirf disease ki absence nahi hai. Overall health ka meaning hai apka Mentally, Physically and emotionally better feel karna. Issme aap ki help karne ke liye Health Shots la raha "Healthy Zindagi Podcast season 2". Iske har episode me hum har baar ek Health Expert se baat karenge. Jo life ko unhealthy banane wale karno, Disease ke symptoms aur unke treatment ke bare me batayenge. Apni Health ki weekly dose ke liye tune in now!

Healthy Zindagi HT Smartcast

    • Health & Fitness

    How to avoid Heat stroke and gut issues in Summer season

    How to avoid Heat stroke and gut issues in Summer season

    Summer season bahut sare health issues ko trigger kar sakta hai. Isme bacteria ki growth bahut jaldi hoti hai, Jis se digestive issues ka samna karna pasta hai. Wahin hot weather heat exhaustion aur heat stroke ka bhi karan ban jata hai. In sabhi samasyao se bachne ke liye tune in kijiye healthy zindagi podcast ka latest episode, Jahan Nutritionist and Dietician Simrat Kathuria de rahi hain summer season me healthy rahne ke diet tips. Episode ko host kar rahi hain Yogita Yadav.

    • 31 min
    Know how queer can overcome mental health issues

    Know how queer can overcome mental health issues

    Social taboos aur families ki purani conditioning ke karan LGBTQIA+ community ke logo ko lagatar identity, existence, self-respect, relationship aur pyar ke liye struggle karna padta hai. Jiski wajah se bahut sare log mental health issues ke shikar hone lagte hain. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me queer community representative aur senior psychologist Richa Vashista bata rahi hain mental health issues se kaise overcome hona hai.

    • 32 min
    Understand how thyroid affects your Period and fertility

    Understand how thyroid affects your Period and fertility

    Thyroid hormone ka sahi star body function ke liye zaruri hai. Magar iska kam ya zyada hona apki sehat ko nuksan pahucha sakta hai. Khastaur se mahilao ko. International Thyroid Day par janiye kyu imbalance hone lagta hai thyroid, iska kya hota hai sehat par asar aur ye apke period and fertility ko kaise affect karta hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me hamare sath hain fertility expert Dr Rashmika Gandhi. episode ko host kar rahi hain Yogita Yadav.

    • 23 min
    Everything about safe motherhood | Mother's Day special

    Everything about safe motherhood | Mother's Day special

    Pregnancy ke 9 months ek woman ke liye amazing journey hote hain. Kabhi physical aur mental health issues ka samana karna, toh kabhi nanhe mehman ke aane ki khushi. Pregnancy ke 1st week se lekar delivery tak ek maa ko kin issues ka samna karna padhta hai aur kya ho sakta hai unka samadhan, Bata rahi hain senior gynecologist Dr. Nupur Gupta and Dietician Dr. Archana Batra, Healthy Zindagi podcast ke iss Mother's Day special podcast me. Ise host kar rahi hain Yogita Yadav.

    • 36 min
    know everything about carcinogens to avoid the risk of cancer

    know everything about carcinogens to avoid the risk of cancer

    carcinogens wo harmful chemical hain jo har jagah paye jate hain. Food, Utensils, pain aur bhi bahut sari cheezo me. Jo cancer ka karan ban sakte hain. Inse kaise bacha jaye aur inke khilaf apni body ko kaise protect kiya jaye , ye jan ne ke liye tune in karen healthy zindagi podcast ka ye episode. Rajiv Gandhi Cancer Institute and Research Centre me oncology department ke director Dr Vineet Talwar bata rahe hain carcinogens ke bare me sab kuch.

    • 23 min
    Know the Right Way of Practicing Yoga

    Know the Right Way of Practicing Yoga

    Yog jeewan ka adhar hai. Ye apki body aur mind ko tune karta hai. Jiss se apki productivity, focus aur glow me bhi improvement hoti hai. Magar kya wajah hai ki kuchh log Yogabhyas ke bawajood sust aur beemar nazar aate hain. Unhe anxiety aur mood swings hote hai. Kya unke abhyas me koi mistake rah jati hai? kya hai yogabhyas ka sahi tarika aur iss dauran kin galatiyon se bachna chahiye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me jante hain Yoga and spiritual guru Acharya Pratishtha se. Iss podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav.

    • 39 min

Top Podcasts In Health & Fitness

Huberman Lab
Scicomm Media
Nothing much happens: bedtime stories to help you sleep
iHeartPodcasts
Perform with Dr. Andy Galpin
Scicomm Media
On Purpose with Jay Shetty
iHeartPodcasts
The Dr. John Delony Show
Ramsey Network
Passion Struck with John R. Miles
John R. Miles