My Town - Horror stories | Ek kahani aisi bhi - Season 5

My Town - Horror Stories

Welcome to my first podcast , I hope you enjoy listening to it!

  1. 03/22/2024

    Uska Naam Mat Lena | Episode 276 | Season 5 | My Town Horror Stories

    Sadiyon pahle doun naam ka ek kabila hua karta tha... Jo har kaam main us samye hi kaafi nipud ho chuka tha...par ek bhayank khatre se bilkul anjaan wo log...khusi khusi apni zindgi ji rahe the...or us ilake se koso dur us daour ka ek bhayanak kabila kalakt tezi se usi kasheter ki tarf bad raha tha...kalakat kabile ke ladake kaha jata tha ke unse haiwano ki boo aati thi...wo jis bhi ilake se gujrte us ilake ka namonishan mita diya krte the...Or ek raat jab kalakat kabile ke ladako ne daon kabile pe humla kiya to wahan ka manjer bahut hi bhayank tha...beksoor logo ko kaat diya gaya...or unki orto ko bndhi bakaker kalakat ke ladake apne sath le gaye...kahte hai daun kabile ka us samye ant ho gaya tha...par wahi kuch logo ka kahana tha...doun kabile ke kuch log jo bach gaye wo janglo ki gahraiyo main uter gaye... or badla lene ke liye kuch aisi kaali saktiyo se takraye jinki bhookh ka koi ant nahi tha...kahte hai apni chatur budhi ke chalte bache huye logo ne ek aisi kaali sakti hasil ki...jo na zinda thi or na hi marit.. jisme bas ek anat bhookh thi aatmao ko khane ki bhookh...Unka naam lene bhar se hi wahan har jangli janver, yahan tak ki bejaan chize bhi ek bhookhe shaitan main badal jaya karti thi... Ye kaali sakti itni bhayank thi ke jisse bade se bade kabile ko ek hi din main khatam kiya jaa sakta tha...par ise bas main karna sirf daun kabile ke log jante the...Kahte hai sirf ek hi din main pure kalakat kabile ke lakho ladake gayb ho gaye the...iske baad daon kabile ke log humesha humesha ke liye unhi jungle ki gahraiyo main chale gaye... waqt badlta raha or kai kabile us kaali sakti ko paane ki talash main jaan gawate rahe...kahte hai jungle ke bicho bich ek gupt guffa hai jahan us kali sakti ko paane ke raaz dafan hai... par us guffa ke duar par kuch aisa likha Hai. jisse padte hi log gayb ho jaate hai...|

    19 min
  2. 03/22/2024

    Haunted Haweli - 1950 | Episode 275 | Season 5 | My Town Horror Stories

    Himalya parvto ke bichobich bharat ka ek manmohak rajaya himachal pradesh sathit hai...Apne manmohak paridrisyo or sunderta ke liye jaana jaane bala ye rajya... apne ander kuch bhayank rahsya bhi rakhta hai...manyataye iski ghatiyo ki ghahrayo main chipi ek aisi pretbadhit jagah ke baare main batati hain...Jahan jivit log ghumne tak ki himmat nahi karte... Ghane devdaar ke junglo ke bichobich lagbhag 1920 ke dask main bani unchi chotiyo ke adhaar par, ye ek purani bictorien shaili ki haweli jo 1950 ke baad se khander halat main khadi hai... jisse chaito d anjes ke naam se jana jata hain...Ek samye ki ye bhawya haweli ab ek andhere atit ki daravni yaad dilati hai... sthaniye logo ki maane to ye haweli shapit hai.... jo un logo ki stai hui aatmao se pretbadhit hai... jo kabhi iski deewaro ke bhiter rahte the...Ye haweli ek british karnal ka nivash sthan tha...jo apni patni or Yuva beti aamara ke sath wahan rahta tha...trasdi se pahle karnal ke paribaar ne aisvrya or baibhavpuran jivan ka anad liya, or ek durbhagyapuran raat jab karnal ghar louta to uski patni or beti ki berahmi se hatya kar di gayi thi... paribbar ko khone ki pida ko sahan karne main asmarth ... dukh ne karnal ko gher liya, or usse pagalpan ki or dhakel diya... kahte hain uske kuch hi mahino baad karnal ki bhi mout ho gayi thi...or usi ke baad se us haweli ke aas paas kuch aisi ghatnaye hone lagi... jin par yakeen karna jinda insaan ke liye namumkin tha...

    19 min

About

Welcome to my first podcast , I hope you enjoy listening to it!