134 episodes

IIPC Podcast

IIPC Podcast » Podcast Feed IIPC

    • Religion & Spirituality
    • 5.0 • 11 Ratings

IIPC Podcast

    Nabi aur Rasool kay baray main Quran kia kehta hai

    Nabi aur Rasool kay baray main Quran kia kehta hai

    Quran Allah ki kitaab hai jo har zamane mein insaan ke liye hadaayat hai taakay woh Allah ki ayaat ke mutabiq zindagi guzaar saken. lekin Allah ne apna kalaam logon tak pohanchanay ke liye jo zariye ko istemaal kya hai woh uskay apne muqarrar kardah nabi aur rasool hain. Allah ne apni kitab mein un anbia aur rasolon ke naam aur un ke waqeat bari wazahat se bayan kiye hain jo har zamane ke insanon ke liye hadaayat ka zareya hain. Muhammad Shaikh ke is dars mein khaas tor par is baat ki wazahat aur nishandahi ki gayi hai ke Quran ke mutabiq lafz nabi aur rasool mein kya farq hai aur kis terhan har zamane mein Allah ka pegham nabiyo aur rasolon ke zariye logon tak pohanchana hai. is mauzo ki mazeed wazahat ke liye yeh dars bohat ahmiyat rakhta hai.

    • 1 sec
    Muhammad Shaikh v/s Ghamidi Followers

    Muhammad Shaikh v/s Ghamidi Followers

    Duniya ke har muashray mein mukhtalif nazriaat ke haamil log ya giroh mojood hotay hain jin ki koshish yeh hoti hai ke jis nazriye aur aqeday par woh imaan rakhtay hain usay sahih saabit karte hue doosron ko qaail kya ja sakay. is silsilay ko jari rakhnay ke liye duniya ke sahib ilm logon ne kuch usoolon par mabni aik tareeqa waza kya sun-hwa hai jisay manazra ya mobahisa kehte hain.



    Is manazra mein do surkha mukhalif fareeqon se aik mauzo par apne apne dalail ke sath guftagu karte hain aur apne un nazriaat aur khayalat ki taied ke liye misalein aur shawahid bhi istemaal karte hain, isi riwayat ko barqarar rakhtay hue aik aur mubahisa paish khidmat hai jo Muhammad Shaikh aur Javed Ahmed Ghamidi ke pirokaron ke darmiyan 2019 mein Toronto canada mein ye mubahisa huva bunyadi tor par quran ki ayaat par mabni hai jis ka mauzo yeh hai ke kis terhan Allah ki aik hi kitaab har zamane mein insanon ki hadaayat ke liye mojood hai aur kis terhan nabuwat har zamane mein jari rehti hai .



    Muhammad Shaikh ne un dono mozuaat ko Allah ki ayaat hi se dalail day kar saabit kya hai. ab yeh nazreen par munhasir hai ke woh is mubahisay ko ghhor se dekh kar khud faisla karen ke dono mein se kin ke dalail ziyada mantaqi aur wazni hain, is liye ye mubahisa dekhna laazmi hai.

    • 1 sec
    Muhammad Shaikh v/s Murabi Ansar Raza Ahmedi

    Muhammad Shaikh v/s Murabi Ansar Raza Ahmedi

    Duniya ke har muashray mein mukhtalif nazriaat ke haamil log ya giroh mojood hotay hain jin ki koshish yeh hoti hai ke jis nazriye aur aqeday par woh imaan rakhtay hain ussay sahih saabit karte hue doosron ko qaail kya ja sakay. is silsilay ko jari rakhnay ke liye duniya ke sahib ilm logon ne kuch usoolon par mabni aik tareeqa waza kya sun-hwa hai jisay manazra ya mobahisa kehte hain .is manazra mein shurka do mukhalif fareeqon se aik mauzo par apne apne dalail ke sath guftagu karte hain aur apne un nazriaat aur khayalat ki taied ke liye misalein aur shawahid bhi istemaal karte hain, isi riwayat ko barqarar rakhtay hue aik aur manazra paish khidmat hai jo Muhammad Shaikh aur Ansar Raza Ahmedi qadyani ke darmiyan 2019 mein Toronto canada mein sun-hwa, yeh manazra bunyadi tor par quran ki ayaat par mabni hai jis ka mauzo yeh hai ke kis terhan Allah ki aik hi kitaab har zamane mein insanon ki hadaayat ke liye mojood hai aur kis terhan nabuwat har zamane mein jari rehti hai.Muhammad Shaikh ne un dono mozuaat ko Allah ki ayaat hi se dalail day kar saabit kya hai. ab yeh nazreen par munhasir hai ke woh is munazray ko ghhor se dekh kar khud faisla karen ke dono mein se kin ke dalail ziyada mantaqi aur wazni hain, is liye yeh manazra dekhna laazmi hai.

    • 1 sec
    Zikr / Yaad dehani (2019)

    Zikr / Yaad dehani (2019)

    Aam tor par arabi lafz Zikr ki logon ke zehnon mein wazahat nahi hai, saada alfaaz mein zikar ke maienay yaddehani ke hain. yeh zikar / yaddehani kisi zaat ya shakhs ya cheez ki khoobiyon ya khamion ya unn ke rawaiyon ke baray mein hosakti hai. zikar ke har gaz yeh maienay nahi hain ke hum sirf kisi zaat ya shakhs ya cheez ke naam ko baar baar dohratay rahen ya unn ki gardaan karte rahen.



    Isi terhan bhsit musalman hum Allah ka zikar sirf uss ke safaati naamon ki takraar aur dohranay se karte hain jabkay quran aur uss ki ayaat is baat ki tafseel se wazahat karti hain ke kis terhan Allah ke baray mein is ki asal rooh ke sath zikar kya jaye .



    Yani mukhtalif halaton mein Allah taala ka kya rawayya hota hai aur kis terhan woh apni sifaat par amal pera hota hai. un sab baton ki wazahat ke liye qurani ayaat par mushtamil Muhammad Shaikh ka yeh dars bohat ahmiyat ka haamil hai .

    • 1 sec
    Ummul Qura / Shahron Ki Maa (2019)

    Ummul Qura / Shahron Ki Maa (2019)

    Duniya mein Makkah shehar ko sb jantay hain kyun kay isi shehar mein Allah ka ghar hai aur duniya ke tamam Musalman isi shehar mein Umra aur Hajj ki adaigi ke liye jatay hain. lekin logon ki aksariyat ko is baat ka ilm nahi hai ke makkah shehar ko Ummul Qura / Shahron ki maa bhi kaha jata hai. duniya mein is shehar ka kya maqam hai aur duniya ke tamam shehron ke liye is shahar Makkah ka kya kirdaar hai, Muhammad Shaikh ka yeh dars isi baat ki wazahat karta hai aur bohat ahmiyat ka haamil hai .

    • 1 sec
    Debate: Muhammad Shaikh vs Mufti Abdul Baqi (Urdu)

    Debate: Muhammad Shaikh vs Mufti Abdul Baqi (Urdu)

    An epic debate for the ages. Mohammad Shaikh has delivered many lectures based solely on the Quranic ayats which have been received positively and negatively in religious circles around the world.From time to time some of the viewers (who are also well known religious scholars) bring their questions and objections to Mohammad Shaikh in order to debate him.This is one of those rare debates captured on video between Mohammad Shaikh and Mufti Abdul Baqi in an open topic debate format, covering many issues.This debate will show you the some of the wrong concepts which have become part of our religion, and how they are being falsely promoted by traditional scholars as truth (without verification from the Quran).This debate will surely open the viewers eyes to details about Islam that is mostly overlooked, and which end up creating false practices and beliefs adopted by the masses in ignorance

    • 1 sec

Customer Reviews

5.0 out of 5
11 Ratings

11 Ratings

lazyjava ,

Zikr

Amazing lecture!! I have just listened this lecture on podcast here and it has very special feeling like Br. Muhammad Sheikh is talking one to one. It’s very different from you tube; and I loved it!

MRTalpur ,

Amazing Source for guidance

I love how IIPC podcast has covered all the lectures delivered by Muhammad Shaikh, If you all need clear answers from The Book of God. This is the best place to find your answers. I am amazed to see the amount of topics he has covered. JazakAllah for all your efforts . I love this app and all the lectures on YouTube as well.

Zeeshan Chohan ,

MashaAllah

MashaAllah good job.

Top Podcasts In Religion & Spirituality

The Bible in a Year (with Fr. Mike Schmitz)
Ascension
The Bible Recap
Tara-Leigh Cobble
Girls Gone Bible
Girls Gone Bible
BibleProject
BibleProject Podcast
followHIM: A Come, Follow Me Podcast
Hank Smith & John Bytheway
WHOA That's Good Podcast
Sadie Robertson Huff